Khidki

Concept
 
iss dharti par arabo log hai… Sabki ek family hai…iss desh ki ho ya pardesh ki..sab family main husband-wife, mata – Pita, beta – beti…chacha chachi, devar-devrani,jeth jethani, mama mami, fuf fufi, sala sali naukar chakar driver-dhobi… itne log, thode plus ya thode minus ,par kisi na kisi rishtey se jude huye hote hai…Amir ho ya garib…raja bhoj ho ya gangu taili…doctor,engineer,artitect,CA ho ya kisi ke PA. kissike pass car ho ya bekar ho. road par ho ya aeroplane main…ghar pe ho ya office main…sab ke saath kuch acche- kuch bure…kuch khatte-kuch mithe kisse aaye din hote rehte hai. Sochiye agar arabo logo ki khidki main jhaakenge to karun ras–hasya ras- aascharya ras-bhayanak ras- bibhatsa ras– bhay ras- vir ras yaane nau ras se bhari kitni kahaniya kitne kisse sab family se milenge…par inn nau raso main se aisa kaunsa ras hai ho stress buster hai…woh hai HASYA RAS… aur hasya ras dusre har raso se kahi na kahi juda hua rehta hai…it’s a matter of interpretation and point of view.
 
Ek ghar ya family aisa nahi hoga jisme kabhi na kabhi koi ek pet pakad kar hansne wali comedy situation na hui ho. jinhe woh saari zindagi yaad kar kar ke haste na ho... Ab aapki family ke uss comedy kisse ko saari duniya tak pahuchange hum...matlab iss stress bhari duniya ko hasayega aapka family. 
 
“khidki” serial ka UNIQUE SELLING POINT yeh hai ki … kissa real family ka hoga par usse nibhayenge hum. Characters real life se honge nibhayenge humare actors. Location, situations real hogi par usse humari family nibhayengi…zaroorat padne par humari family ke alawa koi guest actor bhi aa sakta hai. Kahani ke ant main jo real family hai chahe woh kissi bhi gaon ya sheher ya desh ka ho usse bulaya jaayega aur introduce kiya jayega. Duniya ko unki life ka kissa sunakar logo ko hansaane ke liye unhe purshkar diya jayega … Iss hafte 100 family ki kahaniya aayee thi uss main se vijeta hai…”verma sharma ya whatever family” . aur humara sutradhar aagle hafte kis desh-sheher ya gaon ki kahani hai uske baare main audience ko batayega. Aur logo se nivedan karega ki “aap bhi duniya ko hansa sakte hai…yeh sewa ka kaam hai…tv main chamak kar mewa bhi milega…popular hona hai to uthao kalam ya mobile …aapka kissa humein sunaao. Ya www.sabfamilycomedy hai.com par bhejiye aapki hasyaras se bhari kahani. 
 
Yeh kahani kisi bhi samay ki ho sakti hai yaani kissi bhi saal ki ho sakti hai… 
 
Jis family ki kahani sabse best hogi uss family ke pass humari team jayegi aur unki bhasha,mannarisams, libaas,ghar ya office furniture kahani ke anurup saari details ikattha kar legi. Iss detailing ki vajah se content different aur fresh lagega 
 
Iss tarah ki contest se show ki popularity badhti hai. Kisi bhi family ko tv pe chamakne ka chaska lagta hai…inter city – inter village – inter society – inter mohalla competition bhi kar sakte hai. India main itne festivals hai…har festival main kitne aise kisse huye honge jo hilarious ho…uss kisso ki competetion hogi…harek contestant ko aisa lagta hai ki humari kahani best hai…we can get stories from NRIs also. 
 
Yaha tak ki kabhi agar hum janata ko koi situation de… ussme agar do kahani thodi milti jhulti ho ya kisiki situation zabardast aur kisi ka plot accha ho to hum kisika plot aur kissi ki situation mix karke bhi cocktail episodes bana sakte hai aur end main do real family ko bhi bula sakte hai aur prize share kar sakte hai. 
 
Technically apne ghar ka location har baar kahani ke anusaar badla jayega….par Actors wahi rahenge taki show ki ek face value bani rahe 
 
 
“Khidki” can be never ending…infinite show”
 

Career | Privacy Policy

Copyright © 2017 | Hats Off Production